Baba lauta de mohe gudiya mori
Angna ka jhoolna bhi
Imli ki daar waali muniya mori
Chaandi ka painjna bhi
Ek haath mein chingariyan
Ek haath mein saaz hai
Hansne ki hai aadat humein
Har gham pe bhi naaz hai
Aaj apne tamaashe pe mehfil ko
Karke rahenge fida
Jab talak na karein jism se jaan
Hogi nahi ye juda
Manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda
Anjaam hoga humara jo hai
Manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda (Manzoor-e-Khuda)
Manzoor-e-Khuda (Manzoor-e-Khuda)
Toote sitaaro se roshan hua hai
Noor-e-Khuda
Ho chaar din ki ghulaami
Jism ki hai salaami
Roohein toh muddaton se azaad hai
Ho hum nahin hai yahaan ke
Rehne waale Jahaan ke
Wo shehar aasmaa’n mein abaad hai
Haan Khilte hi ujadna hai
Milte hi bichhadna hai
Apni toh kahaani hai yeh
Kaagaz ke shikaarein mein
Dariyan se guzarna hai
Aisi zindgani hai yeh
Zindgani ka hum pe jo hai karz
Karke rahenge ada
Jab talak na kare jism se jaan
Hogi nahi yeh juda
Manzoor-e-Khuda (Manzoor-e-Khuda)
Manzoor-e-Khuda (Manzoor-e-Khuda)
Anjaam hoga humara jo hai
Manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda (Manzoor-e-Khuda)
Manzoor-e-Khuda (Manzoor-e-Khuda)
Toote sitaaro se roshan hua hai
Noor-e-Khuda
Baba lauta de mohe gudiya mori
Angna ka jhoolna bhi
Imli ki daar waali muniya mori
Chaandi ka painjna bhi
(Haan…)