Woh rang bhi kya rang hai
Milta na jo tere honth ke rang se hubahu
Woh khushboo kya khushboo
Thehare na jo teri saanwari zulf ke rubaru
Tere aage ye duniya hai pheenki si
Mere bin tu na hogi kisi ki bhi
Ab ye zaahir sareaam hai, elaan hai
Jab tak jahaan mein subah shaam hai
Tab tak mere naam tu
Jab tak jahaan mein mera naam hai
Tab tak mere naam tu
Jab tak jahaan mein subah shaam hai
Tab tak mere naam tu
(Mere naam tu)
Jab tak jahaan mein mera naam hai
Tab tak mere naam tu
Uljhan bhi hoon teri
Uljhan ka hal bhi hoon main
Thoda sa ziddi hoon
Thoda pagal bhi hoon main
Barkha bijli badal jhoothe
Jhoothi phool’on ki saugatein
Sacchi tu hai, saccha main hoon
Sacchi apne dil ki baatein
Dastkhat haathon se haathon pe kar de tu
Na kar aankhon pe palkon ke parde tu
Kya ye itna bada kaam hai, elaan hai
Jab tak jahaan mein subah shaam hai
Tab tak mere naam tu
Jab tak jahaan mein mera naam hai
Tab tak mere naam tu
Jab tak jahaan mein subah shaam hai
Tab tak mere naam tu
(Mere naam tu)
Jab tak jahaan mein mera naam hai
Tab tak mere naam tu
Mere hi ghere mein ghoomegi har pal tu aise
Sooraj ke ghere mein rehti hai dharti ye jaise
Paayegi tu khud ko na mujhse juda
Tu hai mera aadha sa hissa sada
Tukde kar chaahe khaabon ke tu mere
Tootenge bhi toh rehne hai woh tere
Tujhko bhi toh ye ilhaam hai, elaan hai