
Parinda

Main parinda kyun banun
Mujhe aasmaan ban’na hai
Main ik panna kyun rahun
Mujhe dastaan ban’na hai
Song HD Wallpapers

Feat

Label

Singer/Music

Lyrics

Video Director
Parinda Lyrics
Jalna bhujna, bhuj ke jalna
Marna jeena, mar ke jeena
Maangne wali cheez nahi ye
Mauka uska jisne chheena
Girna uthna, uth ke chalna
Chad ja ambar zeena zeena
Yaad rahe yeh shart safar ki
Peechhe mud ke dekh kabhi na
Jeet ka junoon hai toh
Haar sochna kyun
Jab zindagi hai ek hi
Do baar sochna kyun
Main parinda kyun banun
Mujhe aasmaan ban’na hai
Main ik panna kyun rahun
Mujhe dastaan ban’na hai
Main parinda kyun banun
Mujhe aasmaan ban’na hai
Koi toh wajah hai
Jo zid pe adi hai ye dhadkane
Yehi toh maza hai
Kiya jo kisi ne nahi hum karein
Koi toh wajah hai
Jo zid pe adi hai ye dhadkane
Haan yehi toh maza hai
Kiya jo kisi ne nahi hum karein
Lalkaar ki ghadi hai ye
Bekaar sochna kyun
Jab zindagi hai ek hi
Do baar sochna kyun
Main parinda kyun banun
Mujhe aasmaan ban’na hai
Main ik panna kyun rahun
Mujhe dastaan ban’na hai
Main parinda kyun banun
Mujhe aasmaan ban’na hai
Suraj aankh dikha le aaj
Kal teri aankh jhukni hai
Tere andar hai jitni aag
Yahan us se bhi dugni hai
Suraj aankh dikha le aaj
Kal teri aankh jhukni hai
Tere andar hai jitni aag
Yahan us se bhi dugni hai
Talwar hath mein hai tere
De maar sochna kyun
Jab zindagi hai ek hi
Do baar sochna kyun
Main parinda kyun banun
Mujhe aasmaan ban’na hai
Main ik panna kyun rahun
Mujhe dastaan ban’na hai
Main parinda kyun banun
Mujhe aasmaan ban’na hai
Trending Now
Advertisement
