Pehle ke jaisa kuchh bhi nahi hai
Din raat aankhon mein ek nami hai
Pehle ke jaisa kuchh bhi nahi hai
Din raat aankhon mein ek nami hai
Pehle ke jaise mausam nahi hai
Baadal toh hai par baarish nahi hai
Kis mod pe aa gaye hum batao
Raahein toh hai humsafar hi nahi hai
Aao chalein hum phir se wahaan pe
Jahaan pe kabhi khushbuon se mile the
Shayad wahin pe kahin kuchh bacha ho
Jahaan pe kabhi saath hum tum chale the
Jise kho diya hai
Khatam ho gaya hai
Uss pyaar ko zindagi denge phir se
Qismat humein leke aayi kahaan pe
Samay chal raha hai magar hum ruke hai
Mere khwaab sab aakhiri saans leke
Gehraaiyon mein dafan ho chuke hai
Na awaaz koyi hai hum tak pahuchti
Badi door khud se hum ja chuke hai
Rishton mein khamoshiyan aa gayi hai
Seene mein bhi dhadkano ki kami hai
Pehle ke jaise mere paas aao
Zaroorat hai humko gale se lagaao
Nahi raas aate hai humko andhere
Chalo chheen laayein phir woh savere
Chalo chheen laayein phir woh savere