Toh kya hua judaa huye
Magar hai khushi mile toh the
Toh kya hua mude raaste
Kuchh door sang chale toh the
Dobara milenge kisi mod pe
Jo baaki hai woh baat hogi kabhi
Chalo aaj chalte hai hum
Phir mulaaqat hogi kabhi
Phir mulaaqat hogi kabhi
Judaa ho rahe hai kadam
Phir mulaaqat hogi kabhi
Dukhaun main dil jaate jaate tera
Mera aisa koi iraada nahi
Chhupa loonga main hans ke aansu mere
Yeh teri khushi se toh zyada nahi
Jo bhichde nahi toh phir kya maza
Zaruri hai rehni bhi thodi kami
Nahi hoga kuch bhi khatam
Phir mulaaqat hogi kabhi
Phir mulaaqat hogi kabhi
Judaa ho rahe hai kadam
Phir mulaaqat hogi kabhi
Sitaaro ke is bheedh ko ghaur se
Ek aakhri baar phir dekh lo
Ye jo do alag se hai baithe huye
Ye tum ho ya main ke yehi maan lo
Yeh din mein nahi nazar aayenge
Magar kal ko jab raat hogi kabhi
Jo ye roshni hogi kam…
Phir mulaaqat hogi kabhi
Phir mulaaqat hogi kabhi
Judaa ho rahe hai kadam
Phir mulaaqat hogi kabhi
Hmm…