Tann lade toh tann muk jaaye
Rooh jude toh judi reh jaaye
Tujhse kiya hai dil ne bayaan
Kiya nigaahon ko zubaan
Wada wafa ka kiya
Tujhse liya hai khud ko mila..
Liya duaaon ka sila..
Jeene ka sapna liya..
Dil ke makaan mein
Tu mehmaan rahaa,rahaa
Aankhon ki zubaan
Kare hai bayaan kahan ankahaa
Kuchh toh hai tujhse raabta
Kuchh toh hai tujhse raabta
Kyun hai yeh kaise hai yeh tu bata..
Kuchh toh hai tujhse raabta
Hmmmm…
Meherbani jaate jaate mujhpe kar gaya
Guzarta saa lamha ek daaman bhar gaya
Tera nazaara mila, roshan sitaara mila
Taqdeer ka jaise koi ishaara mila
Tera ehsaan lage hai jahan main khila
Haan khila..
Sapno mein mere tera hi nishaan mila
Haan mila…
Kuchh toh hai tujhse raabta
Kuchh toh hai tujhse raabta
Kyun hai yeh kaise hai yeh tu bata..
Kuchh toh hai tujhse raabta
Hadd se zyada mohabbat hoti hai jo
Kehte hain ke ibaadat hoti hai woh
Kusoor hai ya koi yeh fitoor hai
Kyun lage sab kuch andhera hai
Bas yeh hi noor hai
Kusoor Hai ya koi yeh fitoor hai
Kyun lage sab kuch andhera hai
Bas yeh hi noor hai
Jo bhi hai manzoor hai…
Kuchh toh hai tujhse raabta
Kuchh toh hai tujhse raabta
Kyun hai yeh kaise hai yeh tu bata
Kuchh toh hai tujhse raabta
Kuchh to hai tujhse raabta
Kuchh to hai tujhse raabta
Kyun hai ye kaise hai yeh tu bata
Kuchh to hai tujhse raabta
(Jaane kya bata)