Ae mere des
Chal loon main teri zameen par
Ae mere des
Daudun teri raahon par
Machhal loon main hawaaon mein
Udaano mein, aasmano mein
Jee loon main ujaalo mein
Kho jaaun tere khayalon mein
Tu jaan hai
Meri shaan hai
Tu hi toh hai pehchaan haan
Teri awaaz ko aagaaz doon
Bas tere liye main kuch kar dikhaun
Vande Mataram…
Vande Mataram…
Haan…
Gaon mein in dariyon mein
Naach loon galiyon mein
(Sargam)
Gaon mein in dariyon mein
Naach loon galiyon mein
Mehak main jaun khushboo mein
Behak jaun rangon mein
Machhal loon main hawaaon mein
Udaano mein, aasmano mein
Jee loon main ujaalo mein
Kho jaaun tere khayalon mein
Tu nihaa hai
Tu nishaan hai
Tu hi toh hai armaan mera
Tere naam par naaz karoon
Bas tere liye main kuch kar dikhaun
Vande Mataram…
Vande Mataram…
Vande Mataram…
Vande Mataram…