Ubalte hain khaab bann ke saazishein
Chehre pe dosti dil mein ranjishein
Aankhon ki qaid mein rehti hasratein
Andheron mein rishtey chal rahe
Har shaksh paudha zehar ka boh raha
Haathon ko apne lahoo se dho raha
Nafrat ka shola dil’on mein so raha
Haan phir bhi pyaar kaise ho raha
Maane na koyi, koyi bandishein
Andheron mein rishtey chal rahe
Meethi hansi mein chhupi hain ek daga
Dhokhe mein lipti huyi hain har ada
Kyun dhoondh’te ho shehar mein tum wafa
Haan phir bhi hain umeedein kyun jawaan
Ulajhti har ghadi sabki khwaahishein
Andheron mein rishtey chal rahe
Ubalte hain khaab bann ke saazishein
Chehre pe dosti dil mein ranjishein
Aankhon ki qaid mein rehti hasratein
Andheron mein rishtey chal rahe