Raftaar!
Sawaal ye hai ke jo cheez jaisi hai
Use waise hi pesh kyon na kiya jaye
Main toh apni kahaaniyon ko ek aaina samajhta hu
Jisme samaaj apne aap ko dekh sake, dekh sake
Ah aina na dekhna chahe samaaj mera
Ah poochhe mera kal na dekhte ye aaj mera
Khodte kharaundte ye meri galtiyaan
Main bhi chal diya
Meri soch pe hai raj mera (mera)
Kaan band, aakhein band
Inke munh pe taale (taale)
Inme zor na ke satya pe prakash daale (daale)
Bole sach jo uske chehre pe tezaab daale
Ghoome phir khule mein
Aur chale jo woh nakaab daale
O o off hai, dimaag sabka off hai
Zamana kya kahega iska hi toh sabko khauf hai
Ah sabke jeete hain dabaane ke ye aadi hain
S*x nishedh hai to itni kyon aabaadi hai
Log ye hai aatma se khokhle
Khud kare to theek baaqi galat dogle
Gaali de toh Hindi mein
To bolein aisa kyon kiya
F**k kyon hai cool jaane galat kyon hai ch***ya
Kya is tarah ke alfaz hamein sadkon pe sunayi nahi padte
Manto ek insan hai
Man, man Manto ek insan hai
Manto ek insan hai
Manto ek insan hai
Mujh par ilzam hai
Mujh par, mujh par
Mujh par ilzam hai
Mujh par ilzam hai
Manto ek insan hai
Jaat mein ye baant’te hain
Baant ke ye kaat’te hain
Katne wale khaat pe hai
Inki mauj raat mein hai
Lal batti waali gaadi
Glass inke haath mein hai
Rajneeti mein hain chor
Police inke saath mein
Meri baat tumko sach nahi lagti
Sachi baate tumko yaara pach nahi sakti
Mujhse na-samajh hai dugne meri age ke
Ek pair kabar mein ye bhookhe hai dahej ke
Betiyon ko maarte, betiyan na paalte
Betiyon pe dusron ki nazrein gandi daalte
Ladkiyan pata ke unko bandi bolte hai
Aur jo raazi na ho unko saale r*ndi bolte hai haan
Babron se maa pe thos haath jo uthayega
Be-zuban bolne se pehle seekh jayega ki
Mard tab banega jab tu aurtein dabayega
Soch ye rahi to jaldi desh doob jayega…
Main society ki choli kya utarunga
Jo pehle se hi nangi hai
Use kapde pehnana mera kaam nahi hai
Main kaali takhti par safed chalk istemaal karta hu
Taaki kaali takhti aur numaya ho jaaye
Manto ek insan
Main ghanton padha hai tumko Manto
Tumhare jaisa banu kare mera mann to
In bandon ko sach nahi dikhta
70 saal azaadi ke sach aaj bhi nahi bikta
Agar aap meri kahani ko bardaasht nahi kar sakte
Toh iska matlab yeh hai
Ke yeh zamana hi naqabil-e-bardaasht ha