Tumne de di wajah jeene ki
Mujhko ek nayi jab se
Bade hi dil se dil ki
Dhadkane kehne lagi tab se
Na jaana ek bhi pal ke liye
Tum door ab mujhse
Duaein kar ke sau-sau
Maine paaya hai tumhe rabb se
Ishq ki tum pe thodi si
Mujhe barsaat karni hai..
Paas baitho na
Zara ek baat karni hai
Tumse jee bhar ke
Mohabbat aaj karni hai
Paas baitho na
Zara ek baat karni hai
Tumse jee bhar ke
Mohabbat aaj karni hai
Tum wo dariya ho
Main jiski pyaas rakhta hoon
Khud ko aaj kal main
Tumhare paas rakhta hoon
Iss jahan mein na
Kahin bhi ab mujhe rehna
Dil mein main tumhare
Jagah ek khaas rakhta hoon
Saath ab toh tumhare hi
Mujhe har saans bharni hai..
Paas baitho na
Zara ek baat karni hai
Tumse jee bhar ke
Mohabbat aaj karni hai
Paas baitho na
Zara ek baat karni hai
Tumse jee bhar ke
Mohabbat aaj karni hai
Baahon mein tum ho
Toh har lamha ruhaani hai
Khwashiyon ka bhi
Hua rang aasmaani hai
Chahaton ki jo guzarish hai
Zara sunn lo
Umr saari yeh
Tumhare sang bitaani hai
Khatm jo na kabhi ho
Aisi ek shuruwat karni hai..
Paas baitho na
Zara ek baat karni hai
Tumse jee bhar ke
Mohabbat aaj karni hai
Paas baitho na
Zara ek baat karni hai
Tumse jee bhar ke
Mohabbat aaj karni hai..