Hmm hmm..
La laa laa..
Rozana
Tum ho khabar aisi
Padhta hu jisko main
Akhbaar ke jaise
Rozana..
Tere naam se aksar
Panne sajaata hu
Bin baat bas yuhin
Rozana..
Mera waqt tumhe
Bin dekhe na kate
Par dekhun to yeh
Nazare na hate
Tum ho khabar aisi
Padhti hu jisko main
Akhbaar ke jaise
Rozana..
Tere naam se aksar
Panne sajaati hu
Bin baat bas yuhin
Rozana
Tu meri aadat sa
Banta ja raha
Log kehte main
Bigadta ja raha
Ho hath tere
Dekhti hu raat din
Tu meri palko pe
Chalta ja raha
Mujhe rang tere bas
Pakke lagte hai
Baki sab rishtey
Kacche lagte hai
Tum ho ghazal aisi
Jise dil se likhta hu
Apne khayalo mein
Rozana
Tum ho khabar aisi
Padhta hu jisko main
Akhbaar ke jaise
Rozana
Hmm.. Ho gaye
Jo mere vo halaat ho
Odhna chaahun jise
Vo raat ho
Jaise coffee ki
Ye latt chhoote nahin
Bin tere yeh din
Mere beete nahin
Tere dard bhi mujhko
Meethe lagte hai
Aur duniya ke gham
Jhoothe lagte hai
Tum ho safar aisa
Jispe nikalta hu
Main neend mein aksar
Rozana..
Tum ho gunaah aisa
Jise jaankar ke main
Bas kar hi deta hoon
Rozana..