
Shuru Karein Kya

Baatein bahut huyi
Kaam shuru karein kya
Kal kya karega
Aaj shuru karein kya
Yeh desh apne haath
Kuch baaton se hoga na
Tu khud hi hai nayak
Toh shuru karein kya
Track Team
Shuru Karein Kya Lyrics
Baatein bahut huyi
Kaam shuru karein kya
Kal kya karega
Aaj shuru karein kya
Yeh desh apne haath
Kuch baaton se hoga na
Tu khud hi hai nayak
Toh shuru karein kya
Baatein bahut huyi
Kaam shuru karein kya
Kal kya karega
Aaj shuru karein kya
Yeh desh apne haath
Kuch baaton se hoga na
Tu khud hi hai nayak
Toh shuru karein kya
Shuruwaat se hi seekhte galat hai
Garam hai hum sab pe par
Khud mein jo dum hai woh kum hai kya
Tere andar ki zameer aaj numm hai kya
Doosron pe bhaukhe
Tujhe khud pe sharam hai kya
Gareebon pe hatyachaar
Bachchiyon ka balatkaar
Na rokega na toh hoga aisa koi chamatkaar
Ungli uthaate par awaaz toh uthaao
Note sab chhaape saale izzat kamaao
Batti tum jalaate khaali kadam badhate
Apne andar ke andhere mein woh batti ko jalaao
Stop si udaan kyun
Samaaj bana chilman sa
Salat kar jo lathpath
Tu poochta hai jaat unka
Tarkash mein mazhab ye
Jab tak taraazu ke
Peedhi ki maut hogi
Ghar sad kar hai shanka, haa
Ainak awaam ka hai safe nahi devi
Haan sadkon pe darr ke kyun kaanp rahi
Saanp bani chhaati pe dahshat dharam ki
Tu khud hai maseeha ye aankhein kyun num si
Baatein bahut huyi
Kaam shuru karein kya
Kal kya karega
Aaj shuru karein kya
Yeh desh apne haath
Kuch baaton se hoga na
Tu khud hi hai nayak
Toh shuru karein kya
Tu bhai musalmaan ka toh
Kaye ko ladte jaat pe
Insaaniyat hai gumshuda
Aur psycho hum halaat se
Aur apne logo ko toh chahiye jaati ka waar
Haathi ka daant
Tu bol mujhko kidhar gayab insaaf
Tabhi to milega jabhi tu
Apne haq ko bolna shuru karega
Sach ko kholna sab ke baare mein sochna
Ab tu nahi darega
Ameer ke thaali mein roti hai chaar
Fakeer ko nahi hai mila prasad
Sab theek hai tera toh badha vyapaar
Kamzor pe aise na daal dabaav
Chalo shuru se karein haal kyun behaal hai
Aise toh azadi ko huye 70 saal hain
Hum azad na phir bhi
Kabhi sunte na khud ki
Ghar baithe sochenge masle ki tarqeeb
Kadam le aage toh peeche ye kheenche
Tu zyada sach ugle toh dharti ke neeche
Ab neeche hi rehna
Himmat se sehna
Woh maare wo peete
Tu kuch bhi na kehna
Har jaati se choti yahaan aurat ki jaat
De de jeevan ki dor kisi aur ke haath
Yahaan praan jaaye par maan na jaaye
Daulat ki laalach hadapti duaayein
Baatein bahut huyi
Kaam shuru karein kya
Kal kya karega
Aaj shuru karein kya
Yeh desh apne haath
Kuch baaton se hoga na
Tu khud hi hai nayak
Toh shuru karein kya
Trending Now
Advertisement
