Ziddi hai dil sunta nahi
Ke mushkil hai kya
Ziddi hai dil sunta nahi
Ke mushkil hai kya behlaaun main
Laakh samjhaaun main
Magar dil hatila kahe…
Tum hi iski ho tamanna
Tum hi iski aarzoo
Dil hai mera ek jazeera
Tum samandar jaarso
Dil ka main kya karoon
Main jeeyoon ya maroon
Kya karoon, kya karoon
Tum kaho kya karoon
Kehta hai yeh dil
Zindagi raat hai aur tum roshni
Rehta hai yeh dil
Khwaabon ki duniya mein jo hai tumse bani
Sehta hai yeh dil
Tum bin ek aisi rutt jo hai tanhaayi ki
Behta hai yeh dil
Dard ki uss nadi mein jo hai beh rahi
Saari majbooriyan paa gayi hai darmiyan
Magar dil hatila kahe…
Tum hi iski ho tamanna
Tum hi iski aarzoo
Dil hai mera ek jazeera
Tum samandar jaarso
Dil ka main kya karoon
Main jeeyoon ya maroon
Kya karoon, kya karoon
Tum kaho kya karoon
Soya hai yeh dil
Bas tumhare haseen sapno ki baahon mein
Khoya hai yeh dil
Beete lamhon ko jaati huyi raahon mein
Goya hai yeh dil
Aaj bhi unn mohabbat bhari baaton mein
Roya hai yeh dil
Yaad kar ke tumhe chaandani raaton mein
Gehri maayusiyan chhaa rahi hai yahaan
Magar dil hatila kahe…
Tum hi iski ho tamanna
Tum hi iski aarzoo
Dil hai mera ek jazeera
Tum samandar jaarso
Dil ka main kya karoon
Main jeeyoon ya maroon
Kya karoon, kya karoon
Tum kaho kya karoon
Kya karoon, kya karoon
Main kya karoon